Aaj phir Intezar karta reh gaya
Dil ka dard aankh ka pani ban ke beh gaya
Tu nahin tera khayal toh aaya
Tere khayaal se hi baatein karta reh gaya
Aaj phir intezar karta reh gaya........
Yun toh hote hain armaan saare jahaan ke poorey
Meri baari aayi toh, khuda bhi khaali jholi le ke reh gaya
Aaj phir intezar karta reh gaya.......
Mere gum hone ka charcha hai sheher ki galiyon mein
Tere haathon ki lakeeron mein apna vajood dhundta reh gaya
Aaj phir intezar karta reh gaya.........
Mayekhaane ka har khaali pyaala karta hai sawaal mujh se
Apne ashkon mein nahaya hua, main kyun pyaasa reh gaya
Aaj phir intezaar karta reh gaya....
Tu khuda ki woh nazm, jise dekh khud ishq ko ho gayi aashiqui
Main kya teri tasveer banaoon, panney pe lakeerein kheenchta reh gaya
Aaj phir intezaar karta reh gaya....
Meri batein sun ke log wah wah karte hain
Tu hoti toh samajhti, yeh dil ka dard hai, jo keh gaya
Aaj phir intezar karta reh gaya
Dil ka dard aankh ka paani ban ke beh gaya
Tu nahin tera khayal toh aaya
Tere khayaal se hi baatein karta reh gaya
No comments:
Post a Comment